Mohabbat ye jo waqt ki mohtaj hai
chand lamhon mein simti, pighli si
do jismon mein ek jaan hai
ishq ki isi bandish mein
sach to ye hai
ki ek ka waqt doosre se pehle aata hai
phir jab vo doosre ko chhod ke jata hai
to ishq ki aanch kuch aisa rang leti hai
ki us taraf thanda par iss taraf aag chhod deti hai
ab jalo aur karo intezar iss umr ke beetne ka
iss adhoore se poore se phir adhoore huye rishte mein
apna ek wajood raakh mein samite pada hai kahin
use dhoondhne ka, uske mil jane ka!
Phir log poonchenge ki btaenge ki pagal ho
premi ho, devdas ho
jo uss paro ke aashiq ho to bata dein, vo kisi aur ke ghar ki raunak hai
uski payal kisi aur ki aahat
aur aahat kisi aur ke dil ki khushi hai
ye sab pata hoke bhi tujhe kyu pata nahi hai?
to tu btana, yehi nagma sunana
ye aashikon ke dil ka chota sa raaz hai
sahab, Mohabbat ye jo waqt ki mohtaj hai
main yahan apne ishq ki umr kaat raha hoon
vo to chali gayi, main apna bacha kucha hissa chaant raha hoon
uthata hoon, niharta hoon rakh deta hoon
aadat se majboor hoon phir dohrata hoon
kabhi kabhi lagta hai aadaton ke nashe mein pal raha hoon
yunhi kat jaye mera ye safar, mil jaye manzil
par phir akadi gardan palat ta hoon
mudta hoon to nazar ghadi par chali hi jati hai
saat janam beet gaye, kitne mehekte sheet gaye
par sui wahin ki wahin jami hai
Kyunki Mohabbat bhi to waqt ki mohtaj hai
vo kal bhi aaj thi, aaj bhi aaj hai
sunta hoon sawal ka dariya kuch yun bunta hoon
meri mohabbat maregi kya?
pal pal badalti duniya mein haregi kya?
chillake thak ke soegi kya?
roke chup hoke phir kuch der dobara roegi kya?
ya zinda rahegi rawazon ke jaise
mitti ke rang pahadon ke jaise
theek hai waqt hi bataega, usi ka raaj hai
Phir Mohabbat bhi to waqt ki mohtaj hai
aur jinki likh di, waqt bhi guzar gaya
ab padhke aisa lagta hai
ki mohabbat mein tu aur main jeete na jeete
mohabbat hamesha hi jeet jati hai!
tadap ke nagme gazalon mein lipte kayi jaam uthte honge
tab teri aashiqi ka, dard bhari raaton ka
log hisab lete honge,
tere aansu ko apna, teri ladai ko sach mante honge
uss poori akeli bheed ko,
mera paigam de aana ki vo to agle janam mein bhi jaari hai
aisa meri jankari hai
ki vo kuch aise mara aaj tak ki uski kabar ko bhi naaz hai
Sach hai Ye Mohabbat kyunki waqt ki mohtaj hai

No comments:
Post a Comment