din rehta hai jab tak, kuch theek rehta hoon tab tak
magar shaam hote hote dil dhalne lagta hai
aankh reh reh ke aasman ko takti hai
kuch pal inhe band karke phir sochta hoon
kya chhoot gya wahan? kiski aas hai?
kuch bhi pee lo kabhi nahi bujhti, ye kaisi pyas hai?
din mein aankh lagi rehti hai nayi duniya ke deedar mein
phir shaam hoti hai to wapas jhankti hai, aarzu-e-pyar mein
kya kisi se bhi baat ban jaye to sahi hai?
to phir vo ladkiyan aaj bhi intezaar kyu kar rahi hain?
Kyu hota hai sar peeche, kyu aati lambi saans
kyu lagta hai itna kamzor, sab kuch to hai mere paas
koi uss jaisa hans deti hai to bhi dil ruk jata hai
kisi ki ankhen ya honth uske jaise hote hain
to mann karta hai isi ko bitha loon
isi ko dekhta rahun, aur usko lage ki pyar hai, haan pyar hai
to bta doon ek dariya hai, ek musafir bhi hai bas pyas nahi hai, maaf karna pyar nahi hai
jism hai, zaroorat bhi hai par bhoonk nahi hai
phir tu bhi mere pyar mein itni majboor nahi hai
ki meri niyat bigadne ka intezaar kare, mere kamzor lamhe mein aas paas rahe!
Aisa nahi hai ki tu aa jaegi to mai khushi se naach uthunga
tune zid ki to bula ke paas kahin bageeche mein baithenge
Main sunna chahunga ki itne din tune kya kiya, kahan rahi?
main ab bhi tere galat mein sarr hilaunga teri koi baat galat hi nahi,
par jab tu thak jaegi to kuch bolunga
kholunga jee haan, pitar-e-dil ki bayaan bolunga
main dikhaunga tujhe vo aansu, jo abhi band hai, jo tere aane pe hi niklenge
vo naqab vo nakli jazbat, vo teri garmi se hi pighlenge!
Bohot, bohot khuddhar hoon main ashiq, tum to janti ho
aasaan jo jang pata chal jaye vo ham ladte hi nahi, haina?
to iss dard ka, iss saans na aane ka, iss tadap ka agar kabhi galat istemal karun to bolna
kabhi teri iss aag se duniya mein naam kamane ka sochu to bolna
main kuch ban gya to tu pachtaegi to aaj mehnat karlu
aisi mehnat kabhi mujh se ho jaye to bolna!
Tu bas mere khali khayalon ka sitam hai
tujh se hi mere chehre pe noor mera har dam hai
jo koi bolde ise chodh ke aage badh ja teri bhalai hai
uss dost ko bhi pyar hai par pyar tujhse zara kam hai
ek kirdar tere ashiq hone ka nibhakar itna maza aa raha hai
thokron ki aadat kya lagi jeene ka maza aa raha hai.
Kabhi likhta baad mein pehle bhej deta tha tujhe meri likhai ka har ek nagma
To kabhi likhta hi isliye tha ki tu padhle, khush ho jaye nagma
lekin aaj in shabdon ki garmahat tujhse nahi,
meri kabiliyat meri kitab tujhse nahi
meri bechaini tujhse aur aaraam to bilkul tujhse nahi
aur ye sab sirf mera hai, ispe kisi ka bhi haq nahi
to befizul shikan ka bhar apne mathe par rakh nahi
zaroorat se aiyashi tak aur wahan se befizul karar kar chuka hoon tujhe
tujhse naraz tha kabhi ab khud se aazad kar chuka hoon tujhe
to inn shabdon ko sunke mat aana,
taras kya khaegi aashiq - e - tapish par
To Pehle ki tarah bhavnao mein mat beh jana.
isko padh lo, to apna hi kuch bhala kar lena mujhe khushi hogi
tumhe lagta tha tumhari parwah nahi kisi ko, ye galatfahmi ki doori hogi
bina mile, bina baat kiye, bina jaane tumhara sahi galat ya anjaam
aaj bhi fiqr mein guzarti hain aasman ko takte meri shaam.
jahan rahe jisko paye vo khush rakhe ye to sab magenge
kabhi iss taraf tere pair na badh jayein ye main mangta hoon,
main to sunke char baat apna lunga,
phir tere dost mere rishte aur tere rishte mere dost ban jaenge
par ab aayi to kasam jaane nahi dunga,
sar peet lunga, jaan dedunga, rooh ka ujala bankar bhi tere saath rahunga
kyunki kuch to main bhi seekh gaya tujhse alag hoke
mushkil bohot hai jeena tujhse alag hoke
mat aana kyunki ab to dant bhi nahi paunga,
teri galtiyon ko sahi sabit karta karta, karta mar jaunga
tere rishton ko apna banata banata, banata reh jaunga
tere sapno ko pura karta karta karta, bas yehi karta reh jaunga
to mat aana, kyunki mushkil insaan ko jeene ki vajah deti hai
mere saath to ab kya hi maza main sab kuch tere liye aasaan bana dunga
to mat ana
jahan rehna jiske seene mein rehna
aankh meeche, muskurate huye saans lena
shikayat, nakhre bas pyar mein ho
kuch maanga aur na mila bas khwab ho
kyunki tumhe sab milna chaiye,
shayad isliye nahi ki tum sabse alag ho
bas isliye ki sabke jaisi ho, jaisi ho jahan ho meri ho!

Beautiful and True as 24 Carot Gold
ReplyDelete