Friday, September 14, 2018

ab aur nahi

aag jalchuki hai
ab dhua hoon main
ya sulag rha hoon
aanch ke intezaar mein

kayamat beet gayi hai kya
ab thandi hawa chalegi?
ya khatam hoga ye jalna
ek badi aag ke baad
mujhe iss andhere se nikalo koi
ehsaas sukoon-e-samandar ka kara do koi

main phir wahin gir jata hoon
lakhon koshishon ke baad
sab chhoot raha hai, hausla bhi
sab ansuna ho raha hai, 
jo hai vo kitna hai pata nahi
par jo nahi hai ab uski bhi aas nahi!

ek waqt yaad nahi kab jab,
main apne ghar ki sabhi khidki khol ke rakhta tha
ki har roshini guzarti hui gali se, mujhse milke jana
par ab sab band hain, na bahar gaya hoon barson se
na koi andar aaya hai, ye makaan khali hai

jis mausam ka intezaar mujhe har saal rehta tha
iss saal usi ki aahat se dil dar ke baitha hai
kahin khul na jaye yaadon ki vo gathri
ek ek karke, kahin saare hisab na chukane pade

ab thak gaya hoon
khud ko dhoondh raha tha
safar ke har ek padav par
jab chala tha to har gaanv apna tha
har khyal sapna tha
har thokar par uthna tha
kisi par jeeteji marna tha

kehta kuch hoon kehna kuch aur hai
mujhpar gaur hai
yehi mushkil hai, yehi chahat hai
kya yehi barbaadi ki aahat hai?

smjhane ki koshish kar raha hoon kuch to
shayad bhaag raha hoon mushkil halaton se
kahin aas hai ki koi laut aaye
ab dil bhar gaya hai purani baaton se

ab kya bacha hai?
bas marne ke liye jeena hai
dar ki garmi bas ab aur nahi
jakadan ye sulgan bas aur nahi
vo mil jaegi kisi nukkad par 
nikal jaunga muskuraye bina
uski nazaron ne mere naye andazon ko parkha
iski chahat ab aur nahi




No comments:

Post a Comment

Back at the 12th Square

 I feel devastated. I feel lost and I don't have energy for anything.  The reason is mostly my job. If I think harder, the reason is not...