Tuesday, October 2, 2018

Ek Photo Ki Album

Yunhi purani Teri yaad ki ek album mere ghar ke kone se mili 
Kholne se darr raha tha 
phir bhi kholne ko marr raha tha

Pehli photo meri fikr ki thi
jo maine yunhi tujhpar bewaja zaya kari
kabhi bina maange hamesha bina soche
usmein dekh raha hoon tu muh fula kar baithi hai
aur mera saara dhyan tujhe manane mein hai
mujhe maloom hai ki kahin ka gussa hai
aur hamesha ki tarah mujhpar nikal rhi ho
kuch de hi to rahi ho, le to nahi rahi ho
par mujhe chaiye tum mujhe maango
mera pyaar mera intezaar mera waqt
mera tumhare hone mein hona ho
tumhari har karvat mein voi ho jo uss photo mein tha
meri fikr

ye dekho doosri photo
kaise ek mahine baad ham mile the
tumne kass ke gale lagaya tha
kya kahun kitna sukoon tha uss jakadan mein
kitna zaroori mahsoos hota tha teri zaroorat hoke
bina gine bine saans liye jo tumne chooma tha
phir gaal par gaal rakh kar lambi saans li
maine ishq usi pal tumse kiya tha
marke bhi karunga yehi wada kiya tha
aaj bhi nibha raha hoon
teri uss jakadan mein giraft 
aaj bhi pyar mein pada hua hoon

ab ye teesri photo kuch alag hai
ghar mein tere pehle kadam 
ye tera mera sarr zamin mein gada hai
chawal jo tune pair marke giraye
ek ek daana uska dhoondh raha hai
aur pyar thoda aur badh raha hai
ye nahi hona chaiye ki chupke se ek ladke ke ghar
ek ladki aayi hai
bilkul nahi, mere ghar mein pehli baar laxmi aayi hai
teri vo izzat meri aankhon mein
shayad tune dekh li
ye mazak nahi tu mashook nahi
jab tujhe gale lagakar matha chooma tha
kuch alag tha, uss shanti ka ahsaas
bohot alag tha!

ab aur nahi dekh paunga, 
ro dunga shayad marr hi jaunga
tu smjh jaa ki kitna pyar dafan karke gayi hai
fool khil rahe hain mazaar par 
peer-e-aashiqui ki aag tale
har barsaat mein kehte hain jogi naachta hai ek
jham jham jhama jham 
pairon ke uske nishaan har baarish ke baad
kuch aur fool khil jaate hain wahan 
afsaane aur jhilmilate hain wahan
unhi foolon sa ek fool har baar khilta hai jab tu hasti hai
tod ke inhe saaja lena apna aashiyan
kabhi murjhayenge nahi inmein meri rooh hai
kabhi mehekna band nahi karenge dekh lena

pyar ke daawon se door sach kahun to ye hai
ki aaj bhi baitha hua hoon khali khali mai kyunki
mujhe uss waqt ka intezaar hai jab tu aayegi aur
mujhse kahin - suno, tumhara waqt chaiye! 



No comments:

Post a Comment

Back at the 12th Square

 I feel devastated. I feel lost and I don't have energy for anything.  The reason is mostly my job. If I think harder, the reason is not...