Umr ke saath bade baste khali huye
anticipation wala, intezaar wala
aane wale kal ke khauf wala, nahi...
vo aaj bhi utna hi bada hai
lekin ek basta kuch zyada bhari ho gaya hai
nostalgia ka basta, yaadon wala, voi...
nostalgia ka lagta nahi that kabhi itna important ho jaega
vo seekha raha hai, sabse important teacher ki tarah
nostalgia seekhata hai koi bhi waqt ho aur kaisa bhi ho
is baste mein tatolte waqt accha hi lagta hai
bura bhi accha, accha toh bohot hi accha
bohot choti choti cheezein..
jaise ye pouch.. jisme barsaat ki uss shaam pant gandi karke
samosa lene gaye the aur momos bhi le aaye the
40 rupai ka extra kharcha, kaise aaj itni important khushi ban gaya
uss ladki ki haan, aur doore ki naa
kaise utna hi meetha hai
vo kam aaye number, vo 100/100 aaj sab utna hi zaroori
aur log.. topping ki tarah hote hain
jo mere life ke crust par aate jaate badalte rehte hain
vo na bohot zaroori hain, na kam.. vo hain, jaise hawa..
No comments:
Post a Comment